Sard Hain dil Aatish-E-Ru-E-Nigaran Chahiye

sard hain dil atish-e-ru-e-nigaran chahiye

shoala-rang-e-bahar-e-gul-ezaran chahiye

manzil-e-ishq-o-junun ke fasle hain sar-ba-kaf

in kathin rahon men lutf-e-dast-e-yaran chahiye

kat rahi hai aur kat chukti nahin fasl-e-khizan

tez-tar ik aur tegh-e-nau-baharan chahiye

aaj mai-khane men sehr-e-chashm-e-saqi ke liye

iltifat-e-chashm mast-e-mai-gusaran chahiye

is dil-e-vahshi ki azadi ka kya kiije ilaaj

ik kamand-e-gesu-e-yazdan-shikaran chahiye

naghma ban jaata hai naala un ki bazm-e-naz men

un ko khush rakhne ko shor-e-sogvaran chahiye

asmanon se baraste hain zamin par regzar

aaj phir ‘sardar’ raqs-e-barq-o-baran chahiye

Leave a Comment