kaali raat ke sahraon men nur-sipara likkha tha
jis ne shahr ki divaron par pahla naara likkha tha
laash ke nanhe haath men basta aur ik khatti goli thi
khuun men duubi ik takhti par ghain-ghubara likkha tha
akhir ham hi mujrim thahre jaane kin kin jurmon ke
fard-e-amal thi jaane kis ki naam hamara likkha tha
sab ne maana marne vaala dahshat-gard aur qatil tha
maan ne phir bhi qabr pe us ki raj-dulara likkha tha
Leave a Reply