sar-nigun saara jahan hai mamta ke samne
bad-dua men hai dua us ki dua ke samne
main tumhare samne is vaste ḳhamosh huun
faisla ho ja.ega ik din ḳhuda ke samne
izzat-o-shohrat mohabbat se ye daman bhar gaya
shukr ke sajde karun rab ki ata ke samne
kar chuki hai ab jahan-ara ‘tabassum’ hausla
rakh diya hai ab diya la kar hava ke samne
kis qadar zalim hai ye duniya ta.ajjub hai mujhe
bevafa kahti hai mujh ko bevafa ke samne
aisa lagta hai ki mahfil muskurane lag ga.i
aa ke jab vo baiThta hai muskura ke samne
ek main huun aur ik dhak dhak dhaḌakta dil mira
ghair ko takta hai vo mujh ko biTha ke samne
yaar nazron se pare tha aa.ina bhi tha pare
saj-sanvar ke aa ga.i jan-e-ada ke samne
kya kahun kaise kahun kis se kahun aur kyuun kahun
sochti huun chup rahun us naḳhuda ke samne
aaj nazron se milin nazren to vo kahne laga
phir se kyuun tum aa ga.i ho muskura ke samne
pahle us ne kya kaha phir kya kaha phir kya kaha
mera tu ne ḳhat rakha jab dilruba ke samne
in andheron se na ghabra tu ki tere vaste
main ne apna rakh diya hai dil jala ke samne
lafz barish ki tarah mujh par baraste jaa.en phir
sher jab kahne lagun us ko biTha ke samne
jab talak duniya men kaghaz aur qalam maujud hain
ba-vafa likhti rahungi bevafa ke samne
kyuun tira pyara ‘tabassum’ aaj phika paḌ gaya
haar kyuun maani hai tu ne phir jafa ke samne
Leave a Reply