aa kar uruuj kaise gira hai zaval par
hairan ho raha huun sitaron ki chaal par
ik ashk bhi Dhalak ke dikha.e ab aankh se
main sabr kar chuka huun tumhare ḳhayal par
aa aa ke us men machhliyan hoti rahin farar
hansti hai jal-pari bhi machheron ke jaal par
mayus ho ke dekhna kya asman ko
uḌne ka shauq hai to miri jaan nikal par
main tang aa chuka huun ki samjha.un kis tarah
ik roz chhoḌ dunga tujhe tere haal par
kuchh yaad hai ki main ne bana.e the tere naqsh
phir itna naaz kyuun hai tujhe ḳhadd-o-ḳhal par
misl-e-gulab aap jo mahke hain baagh men
bosa vasul kijiye titli ka gaal par
tafriq kis tarah se karoge yahan pe ‘zeb’
insan likha hua hai darindon ki khaal par
Leave a Reply