bichhaḌte TuTte rishton ko ham ne dekha tha
ye vaqt ham pe bhi guzrega ye na socha tha
nami thi palkon pe bhiga hua sa takiya tha
pata chala ki koi ḳhvab ham ne dekha tha
hamare zehn men ab tak usi ki hai ḳhushbu
tumhare sehn men bele ka ek pauda tha
khurach ke phenk duun kis tarah daagh yadon ke
main bhuul jaata vo sab kuchh to kitna achchha tha
hamare haal ko dekho nigah-e-ibrat se
ye baat ham se na puchho ki kaun kaisa tha
janab-e-ḳhizr kahan aap mujh ko chhoḌenge
jo saath chhoḌ gaya vo bhi aap jaisa tha
milega kyuun kisi dushman ki astin pe lahu
tumhara ‘shams’ nigah-e-karam ka maara tha
Leave a Reply