• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Haalat Ke Kohna Dar-O-Diwar Se Niklen

Haalat Ke Kohna Dar-O-Diwar Se Niklen

halat ke kohna dar-o-divar se niklen

duniya ko badalna hai to ghar-bar se niklen

nakam sadaon ke hain aaseb yahan par

is dasht-e-tamanna se to raftar se niklen

jin men ho mohabbat ka uḳhuvvat ka ishara

paigham kuchh aise bhi to aḳhbar se niklen

duniya bhi to ban sakti hai jannat ka namuna

ham apni ana apne hi pindar se niklen

jo haqq-o-sadaqat ka sabaq bhuul ga.e hain

vo kaise bhala vaqt ke azar se niklen

ham ne bhi baharon ko lahu apna diya hai

ab ham se hi kahte ho ki gulzar se niklen

is darja taghaful hai to ham ne bhi ye socha

ummid-e-karam hasrat-e-didar se niklen

har ek qadam par hai yahan jaan ka ḳhatra

ab soch samajh kar zara bazar se niklen

aage hi nikalna hai jo ‘shayan’ se un ko

aḳhlaq se a.amal se kirdar se niklen

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sheikh Saadi

Story 8 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Ishq Kar Ke Dekh Li Jo Bebasi Dekhi Na Thi

bahadur-shah-zafar

Khwah Kar Insaf Zalim Khwah Kar Bedad Tu

shahryar

Khwab Ka dar Band Hai

Ku-Ruswai Se uTh Kar Dar Tak Tanha Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet