sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin
ana-e-qalb miTana koi mazaq nahin
labon pe aah ba-har-hal aa hi jaati hai
jigar ki choT chhupana koi mazaq nahin
nuqush-e-qalb miTane se miT nahin sakte
kisi ko dil se bhulana koi mazaq nahin
hansi hansi men bhi kya kya gurez-pa.i hai
tarashte hain bahana koi mazaq nahin
jahan adab men siyasat chali jaati hai
vahan bhi rang jamana koi mazaq nahin
nikalte ho zaminen na.i na.i lekin
radif ka bhi nibhana koi mazaq nahin
jo ahl-e-ilm hain kanTe hain un ki rahon men
ab un ko ‘taj’ haTna koi mazaq nahin
Leave a Reply