sar-e-mahfil dil-e-tanha pe hansi aati hai
mujh ko is ghuncha-e-sahra pe hansi aati hai
haan tira va.ada-e-farda tha kabhi vaj.h-e-hayat
ab isi va.ada-e-farda pe hansi aati hai
shab-e-mah mausam-e-gul aur javani tauba
aisi be-vaqt ki tauba pe hansi aati hai
kabhi TuuTi hui kashti pe taras aata hai
kabhi chaḌhte hue dariya pe hansi aati hai
main javan huun miri fitrat ka taqaza hai kuchh aur
mujh ko andesha-e-farda pe hansi aati hai
chaar tinkon ka jalana bhi baḌi baat thi kuchh
barq ki zahmat-e-be-ja pe hansi aati hai
chahte hain ki unhen dil se bhula duun main ‘sa.id’
aisi ma.asum tamanna pe hansi aati hai
Leave a Reply