sar-e-ḳhayal hai ye kaun magar nahin huun main
jidhar talash rahe ho udhar nahin huun main
ye taur-e-justuju thoḌa badal ke dekho na
main aur bhi huun bahut jism-bhar nahin huun main
ye kis ki shakl miri zaat par numayan hai
miri tarah tu lage hain magar nahin huun main
thakan safar ko sameTe hue ho paanv men
ye aur baat ke zer-e-safar nahin huun main
main sochta huun ki ab ishq hi karun tujh se
bahut dinon se kisi kaam par nahin huun main
shab-e-javani huun aisa na ho guzar ja.un
so mujh ko ji lo ki phir umr-bhar nahin huun main
Leave a Reply