sar-e-a.ina hairani bahut hai
sitamgar ko pashemani bahut hai
ḳhirad ki garche arzani bahut hai
junun ki jalva-samani bahut hai
sabhi vahshi yahin par aa rahe hain
mire ghar men bayabani bahut hai
yahan har-chand sab ḳhush-pairahan hain
magar dekho to uryani bahut hai
na jaane kab miri muTThi men aa.e
vo ik lamha ki arzani bahut hai
ajab uljhan ki chup rahna bhi mushkil
jo kah duun to pashemani bahut hai
main samt-e-dasht jaana chahta tha
magar us men tan-asani bahut hai
bhula kar baiThta huun har kisi ka
abhi mujh men ye nadani bahut hai
ḳhudaya joḌ kya hai ishq-o-dil ka
tiri baḳhshish pe hairani bahut hai
zamin ko raas kab aa.ega ‘irfan’
vo harf-e-haq ki nuqsani bahut hai
Leave a Reply