saaqi mujhe ḳhumar sata.e hai la sharab
marta huun tishnagi se ai zalim pila sharab
muddat se aarzu hai ḳhuda vo ghaḌi kare
ham tum piyen jo mil ke kahin ek ja sharab
mashrab men to durust ḳharabatiyon ke hai
maz.hab men zahidon ke nahin gar rava sharab
saaqi ke ta.iin bulao uTha do tabib ko
maston ke hai maraz ki jahan men dava sharab
be-ru-e-yar o mutrib o abru bahar o baagh
‘hatim’ ke ta.iin kabhi na pila.e ḳhuda sharab
Leave a Reply