• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kitabon Ne Go Istiaron Mein Hum Ko Batae Bahut Se Thikane Tumhaare

Kitabon Ne Go Istiaron Mein Hum Ko Batae Bahut Se Thikane Tumhaare

kitabon ne go isti.aron men ham ko bata.e bahut se Thikane tumhare

magar kuchh vazahat se apna pata do samajhte nahin ham ye mub.ham ishare

har ik phuul gulshan men ye kah raha hai har ik jam-e-mai se ye ham sun rahe hain

zamane ki nazron men ghar hai usi ka jo hans hans ke din zindagi ke guzare

na ahl-e-haram ne madad ki hamari na ahl-e-kalisa ne gham-ḳhvariyan kiin

agar tu bhi tarz-e-taghaful na chhoḌe kahan jaa.en phir ham musibat ke maare

qadamat-pasandon pe kyuun hans rahe ho ḳhuda ki qadamat-pasandi to dekho

hazaron nahin balki lakhon baras se vahi kahkashan hai vahi chand taare

mire ashk-e-ḳhunin ki gul-kariyon se zamane ko rangin qaba.en mili hain

junun-e-mohabbat ka ye faiz samjhun bayaban men bhi hain chaman ke nazare

na gham mujh ko girdab-e-ranj-o-bala ka na muhtaj huun main kisi naḳhuda ka

safine ko maujon ki zad se bacha kar chala ja raha huun kinare kinare

tiri ḳhashmagin aankh ki gardishon ne zamane ko zer-o-zabar kar diya hai

saharon pe koi bharosa kare kya sahare to ḳhud DhunDte hain sahare

usi ru-e-raushan ko ham chahte hain umidon ko tarik jis ne kiya hai

usi mah-e-taban ko ham DhunDte hain dikha.e hain din ko hamen jis ne taare

tire shauq men jo chala ja raha hai jo raste ki mushkil se ghabra raha hai

kabhi apni manzil pe ja hi rahega magar shart ye hai ki himmat na haare

suna hai ki sha.er ho ai ‘josh’ tum bhi nazar bagh-e-jannat pe kyuun hai tumhari

musaddas men haali to ye kah ga.e hain jahannam ko bhar denge sha.er hamare

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Usne Talab Kiya Mera Dil Is Ada Ke Sath

poet

Kisi Tarah KHalish-E-Arzu miTa Na Sake

ismail-merathi

din Aur duniya Ka Tafraqa Hai Mohmal

Aankh Jab Barse to Kya Puchhna Mausam Kaisa

Ye Ishq-E-Na-Murad Bhi Kis Gumrahi Mein Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet