saaqi jo diye jaae ye kah kar ki piye ja
to main bhi piye jaun ye kah kar ki diye ja
jaane ki jo zid hai to mujhe zahr diye ja
itna to kaha maan le itna to kiye ja
kuchh aur na kar mujh pe jafaen tu kiye ja
kuchh aur na le meri duaen tu liye ja
kya lazzat-e-taazir ne majbur kiya hai
aata hai yahi ji men ki taqsir kiye ja
kam-bakht ‘rasa’ teri rasai nahin un tak
tu khuub sa islam ko badnam kiye ja
Leave a Reply