agar marte hue lab par na tera naam aaega
to main marne se dar-guzra mire kis kaam aaega
use bhi thaan rakh saaqi yaqin hoga na rindon ko
agar zahid pahan kar jama-e-ehram aaega
shab-e-furqat men dard-e-dil se main us vaste khush huun
zaban par raat bhar rah rah ke tera naam aaega
lagi ho kuchh to qasid akhir is kam-bakht dil men bhi
vahan teri tarah jo jaega nakam aaega
isi ummid men bandhe hue hain taktaki mai-kash
kaf-e-nazuk pe saaqi rakh ke ik din jaam aaega
yahan apni padi hai tujh se ai gham-khvar kya uljhun
ye kaun aram hai mar jaun tab aram aaega
zahe izzat jo ho is bazm men mazkur ai vaaiz
bala se gar gunahgaron men apna naam aaega
hazar inkar ya qat-e-taalluq us se kar naseh
magar hir-phir ke honton par usi ka naam aaega
ata ki jab ki khud pir-e-mughan ne pi bhi le zahid
ye kaisa sochna hai tujh pe kyuun ilzam aaega
pada hai silsila taqdir ka sayyad ke bas men
chaman men ai saba kyunkar asir-e-dam aaega
koi badmast ko deta hai saaqi bhar ke paimana
tira kya jaega mujh par abas ilzam aaega
unhen dekhegi tu ai chashm-e-hasrat vasl men ya main
tire kaam aaega rona ki mere kaam aaega
hamesha kya piyunga main isi kohna-sifali main
mire aage kabhi to saghar-e-zarfam aaega
kahan se laun sabr-e-hazrat-e-ayyub ai saaqi
khum aaega surahi aaegi tab jaam aaega
chhuri thi kund teri ya tire qatil ki o bismil
tadap bhi tu tiri gardan pe kyuun ilzam aaega
yahi kah kar ajal ko qarz-khvahon ki tarah taala
ki le kar aaj qasid yaar ka paigham aaega
hamesha kya yuun hi qismat men hai ginti gina dena
koi naala na lab par laiq-e-anjam aaega
gali men yaar ki ai ‘shad’ sab mushtaq baithe hain
khuda jaane vahan se hukm kis ke naam aaega
Leave a Reply