dekha jo marg to marna ziyan na tha
faani ke badle mulk-e-baqa kuchh garan na tha
shab ko baghal men tha bhi to vo dilsitan na tha
shokhi ye kah rahi thi ki yaan tha vahan na tha
be-vajh munh chhupane se jo tha nihan na tha
par khair thi kuchh is men ki main bad-guman na tha
ye to nahin ki ab ke vo mutlaq vahan na tha
lekin saval-e-vasl ye kahne ko haan na tha
vo but hi kahun zamin pe jo bala-garan na tha
ham-sang lekin us ka magar asman na tha
hasrat ke sadqe aankh ke malte hi khul gaya
vo kuchh ki mumkinat se jis ka bayan na tha
naala jo apna paya-e-tasir se gira
itna subuk hua ki main itna garan na tha
the bazm men vo ghuncha-e-afsurda sharm se
kyunkar kahun bahar men rang-e-khizan na tha
kaisi haya kahan ki vafa pas-e-khalq kya
haan ye sahi ki aap ko aana yahan na tha
sab kaam apni ek nigah par hain munhasir
goya mire liye to bana asman na tha
kyuun mujh pe tez ki nigah-e-qahr ki chhuri
main daur-e-charkh men koi sang-e-fasan na tha
kuchh apne dil ke valvale kuchh zahidon ki zid
sar phodne ko varna vahi astan na tha
aina ko vo dekhte hain un ki shakl ham
tha ham ko vo guman ki unhin vo guman na tha
inkar mahz mahz ghalat mezban sahi
maana ki bazm-e-ghair men tu mehman na tha
dushman harif-e-rah-e-vafa hai khuda ki shaan
vahan jis pe tha yaqin mujhe us ka guman na tha
hairan huun hijab-e-judai utha na kyuun
vo naznin the main to koi na-tavan na tha
ab asman ban ke mira muddai bana
thi lab pe kuchh fughan to falak ka nishan na tha
tapka zamin pe gar falak-e-pir ko to kya
phir ye kahenge sab ki vo kuchh naujavan na tha
kuchh jazb dil men jaan ke samjhe the un ko paas
ek vahm se yaqin pe kya kuchh guman na tha
gardun se aaj hai falak-e-zulm phat pada
siina men aaj hi dam-e-atish-fishan na tha
husn-e-jahan-faroz se jis ja na the vo but
main be-nishaniyon se jahan tha vahan na tha
yuun khamushi se khush ki vo tasvir the magar
yuun baat se ba-tang ki guyyan vahan na tha
bhari hue yahan to subuk hogi zindagi
vahan to nazar se ham ko girana garan na tha
the be-khudi men paas vo hosh aai to gae
chuke ghazab hi hosh men aana yahan na tha
aana ye un ka subh ko meri ajal ke saath
yaani ki nala-e-shab-e-gham raegan na tha
tha kuchh shikast-e-dil se mira imtihan-e-sabr
vahan apni nazuki ka faqat imtihan na tha
be-mehr yuun na ho ki ye khush ho ke main kahun
shayad ki tu raqib pe bhi mehrban na tha
main aur roz-e-vasl-e-adu aur shab-e-firaq
yahan asman na tha ki vahan asman na tha
farhad kohkan tha ye ik halki baat hai
ashiq tha be-sutun ka uthana garan na tha
shab mujh se aankh malti rahi dil raqib se
yahan yuun sitam raha ki kisi par ayaan na tha
tha doston ka yaar tariq aur dilon se duur
kya tha jo main ghubar-e-pas-e-karvan na tha
hairan huun ki dam men tire kyunki aa gaya
main varna apne dil men kahan se kahan na tha
marta huun ki kyuun na raha dil men tir-e-yar
aram-jan tha koi azar-jan na tha
dekha na aankh utha ke mujhe nazuki se jhuut
aisa to kuchh nigah ka uthana garan na tha
khali dar un ka paaya to dil vahm se ruka
tha pasban men aap jo vahan pasban na tha
kis be-dili se hijr men ki ham ne zindagi
dil tha kahan ki yahan vo but-e-dilsitan na tha
mit jaana apna us ka raha sab ke dil pe naqsh
ek ye bhi tha nishan ki mira kuchh nishan na tha
kuchh vahm sadd-e-rah-e-sitam tha ki vaqt-e-zabh
mere gulu pe khanjar-e-qatil ravan na tha
‘anvar’ ne badle jaan ke li jins-e-dard-e-dil
aur is pe naaz ye ki ye sauda garan na tha
Leave a Reply