• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sang-Rezon Ki Tarah Pesh-E-Nazar Rahte Hain

Sang-Rezon Ki Tarah Pesh-E-Nazar Rahte Hain

poet

sang-rezon ki tarah pesh-e-nazar rahte hain

mere kaase men paḌe la.al-o-gohar rahte hain

saa.e chunte hain kaḌi dhuup ke sahra se ham

pa-shikasta hain magar mahv-e-safar rahte hain

kaal koyal ki sada.en na shafaq rang kahin

shahr men jaane kahan sham-o-sahar rahte hain

khelte hain mire angan men vo ḳhush ḳhush baham

ranj ḳhushiyon se bahut shir-o-shakar rahte hain

ḳhema-zan ho to ga.e ḳhana-badoshi na ga.i

be-ghari men bhi sada dosh pe ghar rahte hain

qahat-sali hai basirat ki nagar men ‘sabir’

kor-chashmon se yahan ahl-e-nazar rahte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

KHun Se Gundha miTTi Ko Aur Aadam Ko Tamir Kiya

MULLA JAMI

Man Hecham-O-Kam Ze-Hech Hum Bisyare

fauziya-rabab

Nazar Udas Jigar Be-Qarar Chup Khamosh

Faza Malul Thi Maine Faza Se Kuchh Na Kaha

Dard Ke Sip Mein Paida Hui Bedari Si

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet