sang ko takiya bana ḳhvab ko chadar kar ke
jis jagah thakta huun paḌ rahta huun bistar kar ke
ab kisi aankh ka jaadu nahin chalta mujh par
vo nazar bhuul ga.i hai mujhe patthar kar ke
yaar logon ne bahut ranj diye the mujh ko
ja chuka hai jo hisab apna barabar kar ke
us ko bhi paḌ gaya ik aur zaruri koi kaam
main bhi ghar par na raha vaqt muqarrar kar ke
puchhna chahta huun us nigah-o-dil se ‘jamal’
kis ko abad kiya hai mujhe be-ghar kar ke
Leave a Reply