samundar se gham-o-ghussa ke tughyani nahin jaati
shikayat chiiz aisi hai ba-asani nahin jaati
nigahon ne na jaane us ki dekhe kaun se manzar
bahut chaha pe ankhon se ye virani nahin jaati
taḳhayyul dastaken de kar palaT jaata hai aksar hi
ana ki jazba-e-dil par nigahbani nahin jaati
bahut mumkin hai ḳhat ka bhi tire mazmun badal jaa.e
abhi to bas likhavaT hai jo pahchani nahin jaati
dil-e-be-sabr aksar arzuon par machalta hai
magar us ki kabhi ik baat bhi maani nahin jaati
koi sach ko jo kah de sach to bhari hai tabi.at par
ki hai sunne ki aadat zill-e-sub.hani nahin jaati
nahin de paa.e ham pur-amn mulk-o-qaum bachchon ko
yaqin maano na maano ye pashemani nahin jaati
Leave a Reply