jo ziyan dil ka hua us ka izala ho ja.un
ab to iz.har-e-mohabbat ka saliqa ho ja.un
khinchna hai tire daman ko harifana mujhe
ik zara ruk mire yusuf main zuleḳha ho ja.un
main sitare ki tarah vaqt pe hota huun ghurub
shab tira saath raha ab main savera ho ja.un
tere bimar ka hota hai maraz aur siva
tu jo bimar ho mera to main achchha ho ja.un
main shanavar huun zamane ke bhare dariya ka
paar utarna ho tujhe gar to safina ho ja.un
itna be-dard abhi dil to nahin hai mera
saath kyuun chhoḌ duun apna main zamana ho ja.un
vaqt-e-ruḳhsat to chamak apni dikhani hai mujhe
chand banne se raha sub.h ka taara ho ja.un
Leave a Reply