• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Samundar Ki Khushbu

Samundar Ki Khushbu

azra-abbas

samundar ki khushbu mere pet

men ghul rahi hai

vo zara fasle par hi bichha hai

aur khamoshi se asman ko khud ko

takte hue dekh raha hai

main ek kamre men

surkh qalin par yoga aasan karte hue

ankhen munde

apne dil ki avaz sun rahi huun

jo aaj sukun se hai

jaise koi bahut thak kar soya ho

vasvason ke darmiyan se nikal kar

main apne dil ki is asudgi par

khush huun

jaise koi maan apne bimar bachche ko

aram se sote dekh kar

chain ka saans leti hai

mere pet men samundar ki khushbu

ek vaqt ki ghiza ki tarah mujhe zinda kar rahi hai

us vaqt se pahle

jab ek baar phir mira dil sote se

jaage

apne vasvason se khelne ke liye

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

sabiha-saba-1

Qalam Ko Is Liye Talwar Karna

poet

Sula Kar Tez Dhaaron Ko Kinaro Tum Na so Jaana

Ilzam Kuchh Na Kuchh to Mere Sar Bhi Aaega

Barabar KHwab Se Chehron Ki Hijrat Dekhte Rahna

shahryar

Ajib Saneha Mujh Par Guzar Gaya Yaro

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet