samundar bhi hua ibrat-nishan paani hi paani
mire charon taraf hai al-aman paani hi paani
ajab duniya hai is ko fikr-e-duniya hi nahin hai
faqat dekha hai to girya-kunan paani hi paani
nigah-e-nam se is nisbat bhi rishta joḌe rakkha
ki main huun ek sahra aur vahan paani hi paani
tumhare saath jis dam tan-badan barish men bhiga
lahu ban kar ragon men tha ravan paani hi paani
samundar se hasad karne ko ab ji chahta hai
hazaron saal se yunhi javan paani hi paani
yahan se bach nikalne ka koi rasta nahin hai
kinare aur un ke darmiyan paani hi paani
Leave a Reply