mazaq-e-ishq se main sharmsar ho na saka
ki razdan bhi mira razdar ho na saka
nazar se zarron ko ulTa galon ko chaak kiya
magar main sar-ḳhush-e-didar-e-yar ho na saka
shabab-o-ishq ki kul umr ek lamha thi
mujhe ye lamha magar sazgar ho na saka
baja-e-ḳhud miri hasti ko kar diya uryan
vo parda-dar mira parda-dar ho na saka
vo kis bharosa par ummid-var ho tera
tiri nazar pe jise e.atibar ho na saka
mulahiza ho mohabbat ka zauq-e-nazzara
jo ashkar tha vo ashkar ho na saka
mira ma.aal bhi hota chaman sa ibrat-nak
junun ka shukr ki vaqf-e-bahar ho na saka
nigah-e-mast ka mamnun-e-kaif huun ‘maḳhmur’
ki pi to ḳhuub magar bada-ḳhvar ho na saka
Leave a Reply