• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sahra-Sahra Kahne Se Gulzar Badalte Nain

Sahra-Sahra Kahne Se Gulzar Badalte Nain

sahra-sahra kahne se gulzar badalte na.iin

dekh ke tevar dushman ke ham yaar badalte na.iin

baat to ye hai bande ke kirdar se ḳhushbu aa.e

gucci boss lagane se kirdar badalte na.iin

ghar ki zinat ghar valon ki izzat pyaar se hai

land-cruiser porsche se ghar-bar badalte na.iin

jin ki fitrat men ho Dasna Das ke rahte hain

B-A m-a karne se afkar badalte na.iin

baat to tab hai ka.aba-e-dil ka karne lage tavaf

rasmi umre kar ke duniya-dar badalte na.iin

aisa hai ki aisa vaisa aur nahin hai kuchh bhi

aisa hai ki kuchh bhi ho ham pyaar badalte na.iin

danish-mandi hai vo karna jo bhi kahe tabib

nusḳhe jeb men rakhne se bimar badalte na.iin

jo hain apne vo har haal men apne rahte hain

ham mausam ko dekh ke rishte-dar badalte na.iin

aksar tanha rah jaate hain tez-mizaj vo log

dekh ke chaal jo apnon ki raftar badalte na.iin

barish ki surat jo utren vo hi likhe jaa.en

is ke ba.ad ‘mubarak’ ke ash.ar badalte na.iin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shajar-E-Ishq Hamein Dar Ke Manand Bhi Hai

Jo Nam Sab Se Ho Pyara Use Makan Pe Likh

Maraz Ek Taraf Aur Dawa Ek Taraf

akhtar-hoshiyarpuri

Mere Lahu Mein Usne Naya Rang Bhar diya

Achchhe Kabhi Bure Hain Haalat Aadmi Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet