• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sahar Ne Andhi Gali Ki Taraf Nahin Dekha

Sahar Ne Andhi Gali Ki Taraf Nahin Dekha

sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha

jise talab thi usi ki taraf nahin dekha

qalaq tha sab ko samundar ki be-qarari ka

kisi ne muḌ ke nadi ki taraf nahin dekha

kachoke ke deti rahin ghurbaten mujhe lekin

miri ana ne kisi ki taraf nahin dekha

safar ke biich ye kaisa badal gaya mausam

ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha

tamam umr gizari ḳhayal men jis ke

tamam umr usi ki taraf nahin dekha

yazidiyat ka andhera tha saare kuufe men

kisi ne sibt-e-nabi ki taraf nahin dekha

jo a.ine se mila a.ine pe jhunjhlaya

kisi ne apni kami ki taraf nahin dekha

mizaj-e-id bhi samjha tujhe bhi pahchana

bas ek apne hi ji ki taraf nahin dekha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-rahman-khan-wasfi-bahraichi

Gham Se Ghabra Ke Kabhi Nala-O-Fariyaad Na Kar

pahaDon Ki Bulandi Par khaDa Hun

Tera Wo Karam Teri Jafa Yaad Hai Ab Tak

poet

Taqat-E-Sabr Tere Be-Sar-O-Saman Mein Nahin

riyaz-khairabadi

Baala-E-Baam Ghair Hai Mein Aastan Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet