• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Bachpan Mein Kaho Hum Ko Kadi Baat

Na Bachpan Mein Kaho Hum Ko Kadi Baat

poet

na bachpan men kaho ham ko kadi baat

na khulvao ki chhota munh badi baat

suno to gauhar-e-dandan ki tarif

abhi ho jaae moti ki ladi baat

bade andher ki tazin hai aaj

na hone degi missi ki dhadi baat

jahan aghyar un ke paas baithe

vahin bas ho gai koi ghadi baat

payam-e-vasl par vo ho gae tursh

ghazab aaya khatai men padi baat

ham un se aaj ka shikva karenge

ukhadenge vo barson ki gadi baat

tabiat un ki hai kuchh ukhdi ukhdi

kisi ne phir vahan meri judi baat

ye kis mizhgan ki barchhi ka tha mazkur

ani ho kar kaleje men adi baat

‘sakhi’ vo yuun to bolenge na ham se

kabhi ho jaegi dhoke-dhadi baat

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi

ameer-minai

Uski Hasrat Hai Jise dil Se Mita Bhi Na Sakun

poet

Jo Kaif-E-Ishq Se Khaali Ho Zindagi Kiya Hai

poet

Maine Jis Ko Chaha Tha

Ek Tamanna Mein Giraftar the Hum Bhi Tum Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet