ishq ke aqlim men chal-o-chalan kuchh aur hai
hai nirala dhang vaan ka aur ajaib taur hai
khun-e-dil piiti hain vaan aur khati hain lakht-e-jigar
lutf ke badle uthane ko jafa-o-jaur hai
un ki galiyon men nahin hota guzar hi aql ka
hai junun ka band-o-bast aur ashiqi ka daur hai
zindagi aur marg shadi aur gham aur nek-o-bad
ek saan hain sab vahan lekin maqam-e-ghaur hai
la-makan hai vaste un ki maqam-e-bud-o-bash
go ba-zahir kahne ko kalkatta aur lahore hai
ah-o-nala ki chala karti hain vaan tir-o-sinan
jo ki jaata hai vahan rahta vahin vo thor hai
ibtida men jiite ji mar jaana padta hai vahan
par jo mar jaata hai vaan jiita vahin fil-faur hai
huun main jan-o-dil se ‘asim’ shah-e-khadim par fida
ishq ke kishvar men jis ki shan-o-shaukat aur hai
Leave a Reply