dil ki is vahshat-sara men dard kya jazbat kya
ho zamin banjar agar to be-baha barsat kya
khul gaya tha ik daricha niind men ta.abir ka
varna ai ḳhvab-e-pareshan thi tiri auqat kya
nam hai kyon daman sahar ka shiddat-e-ehsas se
mil ga.i us ko bhi dard-e-ishq ki saughat kya
atish-e-furqat chhupa.e sham.a kyon roti rahi
vasl ki baazi men us ko ho rahi hai maat kya
is chaman ki vahshaton men ho ga.i shamil saba
puchhti hai phuul se ab rang kya hai zaat kya
siskiyon ke shadiyane gunjte hain kaan men
sahn-e-dil men dard ki utri koi barat kya
ghar raha na tu raha na dil raha na ashiqi
zindagi sahti rahegi nit-na.e sadmat kya
har taraf sargoshiyon ki sang-bari al-aman
kar raha hai ye zamana phir hamari baat kya
sub.h ki bhigi hui ankhon men kaisa soz hai
ḳhamushi oḌhe hue roti rahi hai raat kya
ham pe ye uqda khula hai zindagi ko haar kar
koshish-e-tadbir kya hai gardish-e-halat kya
ho gaya labrez kyunkar kasa-e-husn-e-suḳhan
kucha-e-ghalib se paa.i sher ki ḳhairat kya
ho ke rusva ishq ke bazar-e-hasrat men ‘shakil’
‘mir’ ki ḳhatir luTa di izzat-e-sadat kya
Leave a Reply