mah-e-nau parda-e-sahab men hai
ya ki abru koi naqab men hai
rangat us rukh ki gul ne paai hai
aur pasine ki bu gulab men hai
aaj saaqi shikar khelega
bat-e-mai kansa-e-sharab men hai
tul-e-roz-e-firaq kahta hai
hashr ka roz kis hisab men hai
sharbat-e-qand ki si shirini
dahan-e-yar ke luaab men hai
shaan se kuchh bigad gai shayad
zulf-e-shab-rang pech-o-tab men hai
ho ‘sakhi’ ko na fikr ya allah
arz itni teri janab men hai
Leave a Reply