baDh Gaya Kuchh Aur Dil Ka Iztirab

baḌh gayā kuchh aur dil kā iztirāb

kyā sitam hai ai nigāh-e-bāryāb

ban ga.ī bujhte tabassum kā sharār

vo dam-e-ruḳhsat tirī chashm-e-pur-āb

ai ḳhushā vo dil ki jis kī har ḳhalish

hai mujassam kuchh sukūñ kuchh iztirāb

raat kī nīñdeñ huiiñ jin se harām

dekhtā huuñ un hasīñ rātoñ ke ḳhvāb

be-piye rahtā thā jab har dam surūr

haa.e vo sarmastī-e-ahd-e-shabāb

nashsha-e-dil se lahaktā thā chaman

āsmānoñ se barastī thī sharāb

mauj-e-naġhma ban ga.ī thī zindagī

baj rahe the dil meñ tā.ūs-o-raubāb

mahtāb-e-shauq hamrāh-e-safar

āftāb-e-kāmrānī ham-rikāb

vo nigāhoñ meñ qayāmat kā sukūñ

vo dhaḌakte dil meñ hashr-e-iztirāb

muddateñ guzrīñ magar ab tak ‘jamāl’

yaad hai vo jāgtī āñkhoñ kā ḳhvāb

Leave a Comment