sahra-o-dasht-o-sarv-o-saman ka sharik tha
vo dard ki dava tha dukhan ka sharik tha
vo kya samajh sakega mire ishq ka maqam
jo ruuh ke safar men badan ka sharik tha
dekhi na ham ne jis ki jabin par kabhi shikan
vo dil ki ek ek chubhan ka sharik tha
ik lamhe ko vo aaya tasavvur men to laga
jaise vo saare din ki thakan ka sharik tha
khamoshiyon se aaj hain ham mahv-e-guftugu
vo saath hi nahin jo sukhan ka sharik tha
allah us charagh ko raushan rakhe sada
jo tirgi men pahli kiran ka sharik tha
sairab kar gaya kisi angan ko jo ‘adil’
vo meri pyaas meri ghutan ka sharik tha