aks-e-rukh-e-gulgun se tamasha nazar aaya
aina unhin phulon ka duuna nazar aaya
khubi men do-bala vo sarapa nazar aaya
pur-nur badan paikar-e-jauza nazar aaya
dil khush guhron ka hamen sahra nazar aaya
kya gard-e-yatimi ka bagula nazar aaya
nairangi-e-hairat se ravan rahte hain aansu
tasvir ka dariya hamen bahta nazar aaya
nikla jo hava-var men vo rashk-e-sulaiman
udta su-e-aflak farishta nazar aaya
balida hai har shisha-e-mai ab ki yahan tak
ek ek falak pamba-e-mina nazar aaya
khilat mujhe vahshat ne diya vusat-e-dil ka
jaame men mire daman-e-sahra nazar aaya
nazron men ye chhaya hai ghubar-e-dil-e-vahshi
har aankh men aansu mujhe dhela nazar aaya
vo aina-sima hai dil-e-sakht-adu men
botal men utarte hue shisha nazar aaya
ashiq tire palkon ka hua zinda-e-javed
suuli ka kharidar masiha nazar aaya
zahid ne bhi aqd aaj kiya bint-e-inab se
juft-e-bat-e-mai murgh-e-musalla nazar aaya
bargashta-nasibi-e-sadaf-e-dil ki kahun kya
moti ke evaz is men phaphula nazar aaya
aina-e-geti men vahi aks hai har su
ham ne jidhar us shokh ko dekha nazar aaya
karte ho mire paikar-e-vahmi ko nishana
navak men tumhare par-e-anqa nazar aaya
us but ke nahane se hua saaf ye paani
moti bhi sadaf men tah-e-dariya nazar aaya
us huur ki rangat udi rone se hamare
rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya
shisha mai-e-gulgun ka unhen madd-e-nazar hai
tegh-e-nigah-e-mast men chhala nazar aaya
ho jaenge sab koh-e-jahan sang-e-falakhan
vahshat men jo aalam tah-o-bala nazar aaya
shamen jo bujhin bazm-e-tilismat ko dekha
ankhen jo huiin band to kya kya nazar aaya
kyuun khush na ho til baith ke mizan-e-falak men
mauzun-e-qad-e-yar ka palla nazar aaya
mil mil gae hain khaak men lakhon dil-e-raushan
har zarra mujhe arsh ka taara nazar aaya
ankhon men khatakti hai yahi daulat-e-duniya
har sikke ki machhli men bhi kanta nazar aaya
hai bud-e-jahan naqsh sar-e-ab nazar men
ye khel hamen ban ke bigadta nazar aaya
hairat-kada-e-dahr hua mujh se mukaddar
aina-e-ijad men dhabba nazar aaya
khush aate nahin daant kisi huur ke mujh ko
chak-e-gul-e-firdaus men bakhiya nazar aaya
muddat se nazar-dokhta rahte hain giraftar
gesu ki bhi zanjir men tanka nazar aaya
champa-kali us mast-e-mai-e-husn ki dekhi
gardan ki surahi ka ye miina nazar aaya
madfun hua zer-e-zamin aap ka laghar
chashm-e-lahad-e-tang men jaala nazar aaya
kalkatta men har dam hai ‘munir’ aap ko vahshat
har kothi men har bangle men jangla nazar aaya
Leave a Reply