• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sahra Mein ghaTa Ka Muntazir Hun

Sahra Mein ghaTa Ka Muntazir Hun

sahra men ghaTa ka muntazir huun

phir us ki vafa ka muntazir huun

ik baar na jis ne muḌ ke dekha

us jan-e-saba ka muntazir huun

baiTha huun durun-e-ḳhana-e-gham

sailab-e-bala ka muntazir huun

jan-e-ab-e-baqa khoj men hai

main mauj-e-fana ka muntazir huun

khil ja.unga apne aap se main

tahsin-e-saba ka muntazir huun

is daur men ḳhvahish-e-tarab hai

madfan men hava ka muntazir huun

maazi ki saza bhugat raha huun

farda ki saza ka muntazir huun

shayad ki vahan mafar ho gham se

tasḳhir-e-ḳhala ka muntazir huun

hathon men hai mere daman-e-shab

suraj ki sada ka muntazir huun

barson se khaḌa huun haath uTha.e

tasir-e-dua ka muntazir huun

mera to ḳhuda kabhi nahin tha

main kis ke ḳhuda ka muntazir huun

kahte hain jise ‘nazar’ musafir

us abla-pa ka muntazir huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Thikana Hai Kahin Jaen Kahan Na-Chaar baiThe Hain

Palkon Pe Larazte Rahe Aansu Ki Tarah Hum

ahsan-marahravi

Kashish-e-Husn Ki Ye Anjuman-Arai Hai

a-g-josh

Guzre Jo Apne Yaron Ki Sohbat Mein Chaar din

hasrat-mohani

Aql Se Hasil Hui Kya Kya Pashimani Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet