sahil par dariya ki lahren sajda karti rahti hain
lauT ke phir aane jaane ka va.ada karti rahti hain
kya jaane kab dharti par sailab ka manzar ho jaa.e
har-dam ye majbur nigahen varsha karti rahti hain
un ki nayya bin manjhi ke paar karegi sab dariya
kyunki Dher dua.en jaise pichha karti rahti hain
kis kis manzar par ḳhud ko ranjida kar luun sochunga
har manzar par anhken meri nauha karti rahti hain
be-mehnat jab roTi qaidi ban jaati hai thali ki
be-ghairat si raten mujh se shikva karti rahti hain
patthar ho jaa.en ya paani rim-jhim rim-jhim barsa.en
anhken saare manzar ko a.ina karti rahti hain
Leave a Reply