jaao ja-namaz se apni pasand ki dua utha lo
har rang ki dua main maang chuki
baghban dil ka biij tere paas bhi na hoga
dekh dhuen men aag kaise lagti hai
mere pairahan ki tapish mitti kaise jalati hai
badan se puuri aankh hai meri
nigah jotne ki zarurat hi kya padi hai
meri barishon ke tiin rang hain
tuuti kaman pe ek nishan khata ka pada hai
ham chahen to suraj hamari roti pakae
aur ham suraj ko tandur karen
faisla chuka diya khata apni bhuul gae
nazr karne aae the chutki bhar aankh
aankh teri galiyon men to bazar hain
zamin aankh chhod kar samundar men so rahi
jangal to sirf talash hai
ghar to kaenat ke pichhvade hi rah gaya
shikar kaman men phans phans kar mara
tum kaise shikari
ankhen tevaron se jal rahi hain
jism zindagi ki mulazmat men hai
tanhai kashkol hai
ham ne ankhon se shamshir khinchi
aur rukhsat ki tasvir banai
raat god men sulai
aur chand ka juuta banvaya
ham ne raah men apne pairon ko jana
Leave a Reply