ab to apne jism ka saaya bhi begana hua
main tiri mahfil men aa kar aur bhi tanha hua
vaqf-e-dard-e-jan hua mahv-e-gham-e-duniya hua
dil ajab shai hai kabhi qatra kabhi dariya hua
teri aahaT ke ta.aqub men huun sadiyon se ravan
raston ke pech-o-ḳham men Thokaren khata hua
lazzat-e-didar ki ai sa.at-e-raḳhshan Thahar
paḌh raha huun main tire chehre pe kuchh likkha hua
ab to tere husn ki har anjuman men dhuum hai
jis ne mera haal dekha tera divana hua
vo samay ruḳhsat hue hamdam vo shamen kho ga.iin
kin ḳhayalon ke jhamelon men hai tu uljha hua
Leave a Reply