khumar-e-shab men use main salam kar baitha
jo kaam karna tha mujh ko vo kaam kar baitha
qaba-e-zard pahan kar vo bazm men aaya
gul-e-hina ko hatheli men thaam kar baitha
chhupa gaya tha mohabbat ka raaz main to magar
vo bhol-pan men sukhan dil ka aam kar baitha
jo so ke uttha to rasta ujaad lagta tha
pahunchna tha mujhe manzil pe shaam kar baitha
thakan safar ki badan shal sa kar gai hai ‘munir’
bura kiya jo safar men qayam kar baitha
Leave a Reply