safar men hai jo azal se ye vo bala hi na ho
kivaḌ khol ke dekho kahin hava hi na ho
nigah-e-a.ina ma.alum aks na-malum
dikha.i deta hai jo asl men chhupa hi na ho
zamin ke gird bhi paani zamin ki tah men bhi
ye shahr jam ke khaḌa hai jo tairta hi na ho
na ja ki is se pare dasht-e-marg ho shayad
palaTna chahen vahan se to rasta hi na ho
main is ḳhayal se jaata nahin vatan ki taraf
ki mujh ko dekh ke us but ka ji bura hi na ho
kaTi hai jis ke ḳhayalon men umr apni ‘munir’
maza to jab hai ki us shoḳh ko pata hi na ho
Leave a Reply