safar men ek jag tamam ho gaya
ab apne ghar ka rasta bhi kho gaya
phir us ke pairahan ki bu na mil saki
vo mere ḳhuun men astin Dubo gaya
vo neshtar jo us ke haath men na tha
gaya to meri saans men piro gaya
ab ansuon ki fasl kaTte raho
juda.iyon ke biij vo to bo gaya
na jaane kis nagar aaj shaam ho
sahar hui to ji udaas ho gaya
guzar ga.i jo be-gharon pe kya kahen
zamin ko abr-e-barshgal dho gaya
miri to aankh nam na ho saki magar
vo mujh pe mere ansuon se ro gaya
likhega kaun is sadi ki dastan
har ek pal hazar saal ho gaya
Leave a Reply