• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Safar Ki dhup Ne Chehra Ujal Rakkha Tha

Safar Ki dhup Ne Chehra Ujal Rakkha Tha

poet

safar ki dhuup ne chehra ujaal rakkha tha

vo mar gaya to sirhane visal rakkha tha

hasin chehre kashida kiye the mitti se

bala ka khaak men husn o jamal rakkha tha

vo hashiyon men tire surmagin mohabbat thi

ki ainon men koi aks daal rakkha tha

falak ki saans ukhadne lagi to raaz khula

ki asman ko zamin ne sambhal rakkha tha

tira uruuj tha suraj ke maand padne tak

mire nasib men shab sa zaval rakkha tha

hisar-e-khvab se bahar kabhi nikal na sakun

bichha ke raah men palkon ka jaal rakkha tha

vo ek shakhs jo vaqt-e-zaval mujh se mila

sunahri ankhon men us ki malal rakkha tha

kisi ko sahra-navardi se ishq lahaq tha

kisi ko shauq ne ghar se nikal rakkha tha

usi ne zahr undela hai meri nas nas men

jo astin men ik saanp paal rakkha tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

qateel-shifai

diwaren

Khul Gaya Raaz Ayan Ho Gai Ayyari-E-Shab

KHwab Nahin Hai sannaTa Hai Lekin Hai Tabir Bahut

poet

Kya Hua Rangini-E-Subh-O-Masa Baqi Nahin

Kya past Apne Azm-E-Safar Ho Ke Rah Gae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet