safar ke ba.ad bhi safar ka ehtimam kar raha huun main
ajiib be-dili se har jagah qayam kar raha huun main
ye baat baat par uThana haath bad-dua ke vaste
mira yaqin kar halal ko haram kar raha huun main
ye log ḳhvab aur phuul se panah mangne lage
bas itna soch kar hi baat ko tamam kar raha huun main
har ek lafz par ukhaḌ rahi hai baar baar saans ye
mujhe to lag raha hai aḳhiri salam kar raha huun main
kuchh is tarah ki tohmaten laga.i ja rahi hain mujh pe ab
ḳhamosh rah ke apne aap se kalam kar raha huun main
Leave a Reply