Wo Dard Wo Wafa Wo Mohabbat Tamam Shud

vo dard vo vafā vo mohabbat tamām shud

le dil meñ tere qurb kī hasrat tamām shud

ye ba.ad meñ khulegā ki kis kis kā ḳhuuñ huā

har ik bayān ḳhatm adālat tamām shud

tū ab to dushmanī ke bhī qābil nahīñ rahā

uThtī thī jo kabhī vo adālat tamām shud

ab rabt ik nayā mujhe āvārgī se hai

pābandī-e-ḳhayāl kī aadat tamām shud

jaa.ez thī yā nahīñ thī tire haq meñ thī magar

kartā thā jo kabhī vo vakālat tamām shud

vo roz roz marne kā qissa huā tamām

vo roz dil ko chīrtī vahshat tamām shud

vo mere qurb meñ hai bahut be-sukūn sā

us ke sukūn ko hai qarābat tamām shud

ab aa ki apnā apnā asāsa sameT leñ

ab ham pe vaqt kī hai saḳhāvat tamām shud

‘tāhir’ maiñ kunj-e-zīst meñ chup-chāp huuñ paḌā

majnūñ sī vo ḳhajālat-o-hālat tamām shud

Leave a Comment