safar-e-zindagi nahin asan
har taraf raah men hain sang-e-giran
duur ho jaa.en dukh zamane ke
sahab-e-dard ho agar insan
sochna paḌ gaya zamane ko
miT ke bhi ham na jab hue arzan
tu ise tanz kyuun samajhta hai
main to halat kar raha huun bayan
ji raha huun kuchh is tarah jaise
aag lag jaa.e aur ho na dhuan
tu miri baat ka javab na de
main samajhta huun ḳhamushi ki zaban
nukta-chini hasad dil-azari
aur kya hai mata-e-be-hunaran
mujh ko us ko talash hai ‘rif.at’
jo mire dil men hai kahin pinhan
Leave a Reply