main ne socha hai rat-bhar tum ko
kaash ho jaae ye khabar tum ko
zindagi men kabhi kisi ko bhi
main ne chaha nahin magar tum ko
janti huun ki tum nahin maujud
dhundhti hai magar nazar tum ko
tum bhi afsos rah-rau nikle
main to samjhi thi ham-safar tum ko
mujh men ab main nahin rahi baaqi
main ne chaha hai is qadar tum ko
Leave a Reply