ḳhuda jaane kahan hai ‘asghar’-e-divana barson se
ki us ko DhunDhte hain kaaba o but-ḳhana barson se
taḌapna hai na jalna hai na jal kar ḳhaak hona hai
ye kyuun soi hui hai fitrat-e-parvana barson se
koi aisa nahin ya rab ki jo is dard ko samjhe
nahin malum kyuun ḳhamosh hai divana barson se
kabhi soz-e-tajalli se use nisbat na thi goya
paḌi hai is tarah ḳhakistar-e-parvana barson se
tire qurban saaqi ab vo mauj-e-zindagi kaisi
nahin dekhi ada-e-laghzish-e-mastana barson se
miri rindi ajab rindi miri masti ajab masti
ki sab TuuTe paḌe hain shisha o paimana barson se
hasinon par na rang aaya na phulon men bahar aa.i
nahin aaya jo lab par naghma-e-mastana barson se
khuli ankhon se huun husn-e-haqiqat dekhne vaala
hui lekin na taufiq-e-dar-e-but-ḳhana barson se
libas-e-zohad par phir kaash nazr-e-atish-e-sahba
kahan khoi hui hai jur.at-e-rindana barson se
jise lena ho aa kar us se ab dars-e-junun le le
suna hai hosh men hai ‘asghar’-e-divana barson se
Leave a Reply