• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke dekhte Hain

Abhi Kuchh Aur Karishme Ghazal Ke dekhte Hain

ahmad-faraz

abhi kuchh aur karishme ghazal ke dekhte hain

‘faraz’ ab zara lahja badal ke dekhte hain

judaiyan to muqaddar hain phir bhi jan-e-safar

kuchh aur duur zara saath chal ke dekhte hain

rah-e-vafa men harif-e-khiram koi to ho

so apne aap se aage nikal ke dekhte hain

tu samne hai to phir kyuun yaqin nahin aata

ye baar baar jo ankhon ko mal ke dekhte hain

ye kaun log hain maujud teri mahfil men

jo lalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

ye qurb kya hai ki yak-jan hue na duur rahe

hazar ek hi qalib men dhal ke dekhte hain

na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui

so ab ke donon hi chalen badal ke dekhte hain

ye kaun hai sar-e-sahil ki dubne vaale

samundaron ki tahon se uchhal ke dekhte hain

abhi talak to na kundan hue na raakh hue

ham apni aag men har roz jal ke dekhte hain

bahut dinon se nahin hai kuchh us ki khair khabar

chalo ‘faraz’ ku-e-yar chal ke dekhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dard Jata Nazar Nahin Aata

siraj-aurangabadi

Hua Hun In dinon Mail Kisi Ka

imam-bakhsh-nasikh

Wo Ru-E-Kitabi To Hai Quran Hamara

Ishq Ke Nam Pe Daim Rahe Zindan Aabaad

poet

Qurbaten Na Ban Pae Fasle simaT Kar Bhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet