jab se marne ki ji men Thani hai
kis qadar ham ko shadmani hai
sha.iri kyuun na raas aa.e mujhe
ye mira fann-e-ḳhandani hai
kyuun lab-e-iltija ko duun jumbish
tum na manoge aur na maani hai
aap ham ko sikha.en rasm-e-vafa
mehrbani hai mehrbani hai
dil mila hai jinhen hamara sa
talḳh un sab ki zindagani hai
koi sadma zarur pahunchega
aaj kuchh dil ko shadmani hai
Leave a Reply