ek hi jaam ko pila saaqi
adl aur hosh le gaya saaqi
abr hai mujh ko mai pila saaqi
is hava men na ji kudha saaqi
lab-e-dariya pe chandni dekhun
ho agar mujh se ashna saaqi
subh aaya sharab men makhmur
niind se uth ke musmusa saaqi
sab ke taiin tu ne mai pilai hai
main tarasta hi rah gaya saaqi
qahr hai mai agar na de is vaqt
jhuum aai hai kya ghata saaqi
kya maze se karun chaman ki sair
garche ho abr aur mira saaqi
dard-e-sar hai khumar se mujh ko
jald le kar sharab aa saaqi
gar tu ‘taban’ ko mai pilavega
tira ehsan na hoga kya saaqi
Leave a Reply