sadma har-chand tire jaur se jaan par aaya
tis pe shikva na kabhi meri zaban par aaya
rast-keshon ki tuf-e-ah se dar ai sarkash
tiir phirta nahin jis vaqt nishan par aaya
mausam-e-sheb men be-faeda hai laab-e-shabab
kab samar deve hai jo nakhl khizan par aaya
dil-e-pur-khun ko mire ghuncha-e-tasvir ki tarah
lab-e-vashud na kabhi raz-e-nihan par aaya
chashm-e-anjum pe nahin abr se vo roz-e-siyah
jo mire dida-e-khun-nab-chakan par aaya
raat ko dekh ke ai maah tujhe ghair ke saath
taana-zan dil ka mire gul ke katan par aaya
ho ke ustad dabistan-e-sukhan men ‘sauda’
sher ke qaeda danan-e-jahan par aaya
Leave a Reply