na sarban hai na naaqa dikha.i deta hai
na-jane kis ka ye ḳhema dikha.i deta hai
bhare jahan men akela dikha.i deta hai
vo ek shaḳhs jo sachcha dikha.i deta hai
musafiro kahun kya rahbar ke baare men
ba-zahir aadmi saada dikha.i deta hai
kahin zamin ki tah men bhi shakl-e-ab nahin
kahin pahaḌ pe chashma dikha.i deta hai
vo aadmi jo kisi par sitam na dekh sake
mujhe vo dekhne vaala dikha.i deta hai
vo tirgi hai ki kuchh bhi nazar nahin aata
bas ik umiid ka taara dikha.i deta hai
vo duur dekh daraḳhton ke jhunD hain ‘bedi’
vo duur koi jazira dikha.i deta hai
Leave a Reply