• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mithi Hai Aisi Baat Uski

Mithi Hai Aisi Baat Uski

poet

mithi hai aisi baat us ki

laundi hai ik nabat us ki

samjha na main ek baat us ki

mujh par kya kaenat us ki

aalam hai be-sabat ai dil

ik zaat ko hai sabat us ki

mah us ka hai aftab us ka

din us ka hai aur raat us ki

kis munh se karun main vasf us ka

hai aql se duur zaat us ki

mimber pe jo bak raha hai vaaiz

kab sunta huun khair baat us ki

hai daulat-e-husn paas tere

deta nahin kyuun zakat us ki

hai jo ki shahid tegh-e-taslim

hai misl-e-khizar hayat us ki

dam de ke na naqd-e-dil ko le-le

chal jaae kahin na ghaat us ki

jo dil ki hai gharq bahr-e-duniya

kyunkar hogi najat us ki

dil jaata hai su-e-ku-e-qatil

khaliq rakhe hayat us ki

dam de ke le aaya yaar ko dil

kya rah gai aaj baat us ki

tanha nahin ‘muntahi’ kisi ja

taqdir hai us ke saath us ki

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kuchh Chamakta Sa Tah-E-Ab Nazar to Aae

adeel-zaidi

daraegi Bhala Kya Teri Gardish Aasman Mujhko

Jaan Ki Bari Hai Ab Dil Ka Ziyan Aisa Na Tha

Jaise Bhi Ye Duniya Hai Jo Kuchh Bhi Zamana Hai

poet

Haq-Mehr Kitna Hoga Bataya Nahin Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet